Hello dosto
aaj mai aapko bataunga ki bina gym join kiye healthy kaise rahe,sabko lagta hai
ki meri ek achhi body ho, aisa koi nahi hai jo achhi body nahi chahta ho,jiske
paas time nahi hai ya time rahkar bhi wo gym nahi jata ho,ye baat alag hai per
jiske paas time hai wo ghar me rahkar bhi achhi body bana sakta hai.
Aaj kal gym
ki fees bhi jyada hoti ja rahi hai.aur badhte mahgai me log gym nahi laga
paate.sochte hai ki kon fijul paisa kharch karega to jyada sochiye mat agar aap
ko fit or helthy rahna hai to aap ko jaruri nahi ki jim jana pade.aap ghar me
hi apne body ko naya look de sakte hai. to mai apko kuch tips or tarike batata
hu unhe follow kar apne sahrir ko behtar bana sakte hai
read this:
Fayda:
1. body majbut
2. energy
3. fitnees
Sabse pahle
apne khud ko thoda time de jisse aap tention free ho, kyun ki tanav me,yoga ya
fir gym karne se body fit nahi hoti or apko nuksan bhi ho sakta hai. Isliye
mind fresh rakhe or Gym/yoga ke samay khali pet rahe.
Tips:
1. Subah halke fulke vajan uthate rahe
isse apke hath ki mussals achhi rahegi or fit bhi rahegi
2. Yoga karne ke dauran saans andar
bahar kare
3. Roj khana khane ke bad turant na
soye,thoda idhar udhar tahle isse aap energy paa sakte hai or sath me khana bhi
jaldi pachan bhi hoga.
4. Ho sake to roj cycle chalaye,gym me
aisi facility available hai per jo gym nahi jaate wo log cycle chala sakte hai.
6. Raat ko jyada bhari khana n khaye.
halka khana hi khaye isse apko subah chusti Rahegi or achha feel hoga.
7. Apne aap ko Taja / fresh rahne ke
liye achhi nind le or subah jaldi uthke meditation karna na bhule..
Ye tips
apnakar aap bohot hi achhi helth bana sakte hai
Ummid hai ki
apko hamari ye post achhi lagi kuch problem hoti hai to aap niche comment box me
likh sakte hai..
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.